blogger me photo ka size kaise theek kaise kare
Online Image Compressor Se Blog Image Size Ko Kam Kaise Kare
may 14 2017 vikram singh 0 Comments online image compressor, resize image
Agar aapka blog hai to apne blog me aap image ka use bhi jarur karte honge. Blog ki image reduce karke aap apni website ko fast aur responsive bana sakte hai. Isliye aaj ki post me mein aapko bataunga ki kis tarah se online image compressor (kraken.io) se aap apni blog me use hone wali picture ka size kam kar sakte hai.
Aapke blog ki images ki size jyada hone se aapki site ka loading time badhta hai. Site loading time badhne se humare visitors ko problem hoti hai aur site bhi sahi dhang se response nahi karti hai. Lekin agar aap apni blog me use hone wali images ko compress karke add karte hai to isse aapki site kafi fast open hogi aur aapki website access karne me visitors ko bhi problem nahi hogi.
Online Image Compressor Se Blog Image Size Ko Kam Kaise Kare
Picture sizes kam karne se blog ke liye kya benefits hai ab aap samjh hi gaye honge. To chaliye step by step janate hai ki online website se apni blog ki photo size kam kaise kiya jata hai.
Blogger Templates Ko Mobile Friendly Kaise Banaye
Youtube Subscriber Button Ko Blog Me Add Kaise Kare
Without WWW Ke Website Ko Kaise Set Kare
Step 1
Sabse pehle kraken.io link me jaye. Aur try free web interface par click kare.
online image compressor
8 Popular Tips Apne Blog Ki Traffic Rank Badhane Ke
404 Error Fix Kaise Kare WordPress Blog Me
WordPress Blog Me Theme Upload Kaise Kare
Step 2
Ab jo page open hoga isme free option ke liye 2nd option (Select optimization mode) ko choose kare.
online image compressor
Lossy image ki quality thodi kam bhi ho sakti hai. But size kafi kam ho jayega.
Lossless me image quality lagbhag same hogi. But image size aur pixesls jyada kam nahi honge.
Down aero sign par click karke apni image select kar sakte hai. Ya direct apni image ko pakadkar yaha par drag kar sakte hai.
Image ko google drive, dropbox ya folder se bhi select kar sakte hai.
Mobile Apps Kaise Bannaye Apne Blog/Website Ke Liye
Blog Banane Ke Baad Kya Kare
Blogger Blog Ko WordPress Par Transfer Kaise Kare
Step 3
Image upload ya drag karne ke baad thoda sa scroll down kare. Niche dekh sakte hai image compress hona start ho jayegi. Aur kuch hi der me aap dekh sakte hai image ka original size, compressed size aur kitna kitna size reduce hua hai.
online image compressor
Download file button par right click kare.
Save link as par click karke image ko save kar lijiye.
Ek se jyada image compressed ki hai to last me sabhi ko save karne ke liye Download All Kraked Files par click karke sabhi ko save kar lijkye.
Issi tarah se aap apni sabhi post ki images ko online image Compressor se compress karke apni website me use kar sakte hai. Aur site ka loading time ghata sakte hai. Aisa karne se aapki site fast open hogi aur aapke visitors ka time aur data ki saving hogi. Aur yahi nahi aapki site fast response karegi, aur visitors ko problem bhi nahi hogi
agar apko post achha lage to subscribe kare or share jaroor kare nayi romanchak jankariyo ke liuye hamari email id par comment kare
agar apko post achha lage to subscribe kare or share jaroor kare nayi romanchak jankariyo ke liuye hamari email id par comment kare
Comments